Sunday, 6 March 2016

Mehfil Me Dard-e-Dil

Mehfil Me Dard-e-Dil

Bhari mehfil me jab tumhara zikr hota hai
Kise kahein ye dard-e-dil kya hota hai

Yun to tumhe bhulake zindagi sawarni thi
Zarre-zarre se tumhari har yaad mitani thi
Meri zindagi ki kahani likhi tumse hai
Khudki kahani ko mitana kya hota hai
Kise kahein ye dard-e-dil kya hota hai

Haseen pal jo bitaye is mehfil se juda hoke
Tumhari khudaai me shumaar bakhuda hoke
Tab kabhi zamane ki parvah na ki thi
Aaj khudko zamane se parakhne se kya hota hai
Kise kahein ye dard-e-dil kya hota hai

Mehfil me jab yaaron ne tumhe yaad kiya
Koi adhura sa naya kissa jab bayaan kiya
Mere har kisse me tum hua karte the
Kisi ke kisso me zindagi khona kya hota hai
Kise kahein ye dard-e-dil kya hota hai

Kabhi khudko is duniya se paraya kiya
Har lafz ko ansuna, tasvir ko andekha kiya
Par tum to ho meri iss rooh me base
Rooh ko is jism se juda karna kya hota hai

Kise kahein ye dard-e-dil kya hota hai

-x-x-x-

© Parched For Rain
Blog Contents

No comments:

Post a Comment