Sunday 6 March 2016

Bekhudi Ka Shaukh

Bekhudi Ka Shaukh

Mujhe bekhudi ka shaukh kyon
Kab laga mujhe khabar nahi
Yun zhulasne ka kab tak silsila
Chalta chale mujhe ab pata nahi

Aaj barsaat me bhigne ka mann nahi
Waqt ke saath kuch aadate badalta hoon
Kat chuke hai pankh bekadar jinke
Khudko un parindo me shumaar karta hoon

Barkha ko niharneki fursat mujhe ab nahi
Wo haseen shaukh mujhe ab paraya hai
Na bewafa hua mai mere sapno se kabhi
Mujhe bass meri bandagi ne haraya hai

Kiski khushi me khudko qurbaan kar chale
Ye sawaal zamane se kabhi na tha
Meri manzile toh khud maine hi tay ki
Hukum khuda ka kabhi qubool na tha

Khwahish hai apni duniya roshan kar de
Uski khatir meri jaan shama ban jaaye toh kya
Bujh jane ki salaah mujhe manzoor nahi
Jalke rakh bane to kya, kajal bane toh kya


-x-x-x-

© Parched For Rain
Blog Contents

No comments:

Post a Comment